People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 25 *

Nacho Rumjhum Nacho
Singer: Geeta Dutt
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Prem Dhawan
Tag: Hindi
Video:
nacho rumjhum nacho dhinak dhin dhin
baar baar aaye ye khushiyo ke din
hazar baar aaye ye khushiyo ke din
nacho rumjhum nacho dhinak dhin dhin
baar baar aaye ye khushiyo ke din
hazar baar aaye ye khushiyo ke din

baharo me tu jhule, tu phulo sang khele
hans hans dekhe tu jivan ke mele
baharo me tu jhule, tu phulo sang khele
hans hans dekhe tu jivan ke mele
duaye humari yahi hai palchhin
baar baar aaye ye khushiyo ke din
hazar baar aaye ye khushiyo ke din
nacho rumjhum naacho dhinak dhin dhin
baar baar aaye ye khushiyo ke din
hazar baar aaye ye khushiyo ke din

pure huye hai aaj arman dil ke
banne lagi hai phul koi kali khilke
pure huye hai aaj arman dil ke
banne lagi hai phul koi kali khilke
ye din dekho ik ik ghadi gin gin
baar baar aaye ye khushiyo ke din
hazar baar aaye ye khushiyo ke din
nacho rumjhum nacho dhinak dhin dhin
baar baar aaye ye khushiyo ke din
hazar baar aaye ye khushiyo ke din
Nacho Nacho Re
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Prem Dhawan
Tag: Hindi
Video:
naacho naacho re
naacho naacho re ghungharwa chhan chhna
aankhe hansti hai rota hai man
mera jivan hai kya jivan
aankhe hansti hai rota hai man
naacho naacho re ghungharwa chhan chhanan
naacho naacho re ghungharwa chhan
naacho naacho re ghungharwa chhan chhanan
naacho naacho re ghungharwa chhan
chhanann chhanann chhanann chhan

payal hai ghayal meri naachu main kaise
payal, payal hai ghayal meri naachu main kaise
tute hai taar dil ke gaau main kaise
asuwan ko apne chhupau main kaise
chhupau main kaise
haye suljhau kaise uljhan
aankhe hansti hai rota hai man
naacho naacho re ghungharwa chhan chhanan
naacho naacho re ghungharwa chhan
naacho naacho re ghungharwa chhan chhanan
naacho naacho re ghungharwa chhan
chhanann chhanann chhanann chhan

fute hai aise mere bhag abhage, bhag abhage
lute pyar mera meri ankhiyo ke aage
kaise khau itni thes jiyra pe laage
jiyra pe laage
jab aaye yaad mohe bachpan
aankhe hansti hai rota hai man
naacho naacho re ghungharwa chhan chhanan
naacho naacho re ghungharwa chhan
Kidhar Jaye Zamane Mein
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Prem Dhawan
Tag: Hindi
Video:
kidhar jaye
kidhar jaye zamane me
thikana ab kahan apna
kidhar jaye zamane me
thikana ab kahan apna
ke humne funk daala
apne hatho aashiya apna
kidhar jaye

kahe kisse ye haal-e-dil
kahe kisse ye haal-e-dil
ke ispe jard duniya me
na koi meharba apna
na koi meharba apna
kidhar jaye zamane me
thikana ab kahan apna
kidhar jaye

main dekhu unka koi gham
ae maalik isse pahle hi
main dekhu unka koi gham
ae maalik isse pahle hi
rahe na teri duniya me
koi naamo nisha apna
ke humne funk daala
apne hatho aashiya apna
kidhar jaye, kidhar jaye
Aisi Nazren Na Daal
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Prem Dhawan
Tag: Hindi
Video:
aisi najre na dal karle khyal
kah dengi aankh sari dunia se hal
rakho ji dil ko jara apne sambhal
ye gore gore gal lahrate baal
thumak thumak matwali chal
rakhe ji kaise koi dil ko sambhal

teri mastani aankho me dil mera kho gaya ab kya kare ji
ab kya kare ji jo bhi hona tha ho gaya
mithi bato ke jal mujhpe na dal
mai janu pahchalu najro ki chal
rakho ji dil ko jara apne sambhal

chhodo balam chhodo hath hamara
jao ji jhutha hai pyar tumhara
ye tera jalal jaise jalti mashal
patli kamar jaise phulo ki daal
rakhe ji kaise koi dil ko sambhal

ho jab milte hai bichde sathi to mil jaye jag sara
deepak se mil jaye bati mit jaye andhiyara
mere dil ka sawal ab to na tal
naino me aaj jara naina to dal
rakhe ji kaise koi dil ko sambhal
aisi najre na dal karle khyal
kah dengi aankh sari dunia se hal
rakho ji dil ko jara apne sambhal
So Bhi Jao Mere Armano
Singer: Geeta Dutt
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Prem Dhawan
Tag: Hindi
Video:
so bhi jao mere armano yad aao na gujre jamano
so bhi jao mere armano yad aao na gujre jamano

laut jao aye rangin najaro yu na mujhpe haso chand taro
dard mera bhala tum kya jano yad aao na gujre jamano
so bhi jao mere armano yad aao na gujre jamano

jisko thukraye sara jamana jisko thukraye sara jamana
bhul jaye jo hasna hasana mai wahi hu jara pahchano
yad aao na gujre jamano so bhi jao mere armano
yad aao na gujre jamano
Mai Hu Albeli Naar
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Bharat Vyas
Tag: Hindi
Video:
mai hu albeli naar kar solah singaar
aayi hu tere dwaar moh se bol re
zara ras ke bhare naina khol re
mai hu albeli naar kar solah singaar
aayi hu tere dwaar moh se bol re
zara ras ke bhare naina khol re

mere baalo me simti sawan ki ghata
sawan ki ghata aa aa aa sawan ki ghata
mere gaalo pe chtt gi poonam ki chata
mere gaalo pe chtt gi poonam ki chata
mere hotho pe pyar naino me nikhar
aaj jogi tu aasan se dol re
zara ras ke bhare naina khol re
mai hu albeli naar kar solah singaar
aayi hu tere dwaar moh se bol re
zara ras ke bhare naina khol re

rut hai basanti mai raswanti
ang ang lahraaye ang ang lahraaye
aaja karle preet ki baate
aaja karle preet ki baate
awsar chuka jaaye awsar chuka jaaye
pade ras ki fuhar sari koyal pukar
aaj jeevan me preet ras ghol re
zara ras ke bhare naina khol re
mai hu albeli naar kar solah singaar
aayi hu tere dwaar moh se bol re
zara ras ke bhare naina khol re
O Chandrama
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Bharat Vyas
Tag: Hindi
Video:
o chandrama o chandrama
tu bada man ka kathor hai
paas aaye bhi nahi aur bhulaye bhi nahi
tere man me chupa koi chor hai
o chandrama tu bada man ka kathor hai

ho jalta hai suraj dinbhar magar
na hamko kabhi bhi jalata
jalta hai suraj dinbar magar
na hamko kabhi bhi jalata ek chanda tu hi
jo sheetal kahar ke agni ke teer chalata
tu hasaye bhi nahi aur rulaye bhi nahi
bade chaliyo ka sheer mor hai
o chandrama tu bada man ka kathor hai

raat adhuri baat adhuri chitvan bhi teri adhuri
raat adhuri baat adhuri chitvan bhi teri adhuri
aas adhuri baat mayuri ab achi nahi hai ye duri
achi nahi hai ye duri man churaye bhi nahi
man milaye bhi nahi
bahar kuch bhitar kuch aur hai
o chandrama tu bada man ka kathor hai
paas aaye bhi nahi aur bhulaye bhi nahi
tere man me chupa koi chor hai o chandrama
Deh Ka Pinjar Chod
Singer: Geeta Dutt
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Ramesh Gupta
Tag: Hindi
Video:
deh ka pinjra chhod ke chal man
pranesvar ke pas ud chal pranesvar ke pas
deh ka pinjra chhod ke chal man
pranesvar ke pas ud chal pranesvar ke pas
jivat swami se milne ki taz de pagle aash
jivat swami se milne ki taz de pagle aash
ud chal pranesvar ke pas
deh ka pinjra chhod ke chal man
pranesvar ke pas ud chal pranesvar ke pas

pal pal chhin chhin unko meri yaad satati hogi
mere viyog me prannath ko nind na aati hogi
sukh me sawami rahte honge
mujhe nahi vishvash ud chal pranesvar ke pas
deh ka pinjra chhod ke chal man
pranesvar ke pas ud chal pranesvar ke pas

he suray devta he suray devta
bhasam bana do tum meri ye kaya
he vayudev he vayudev
le chalo waha jaha pati ki chhaya
kuch sandesh suna swami ka he vishal aakash
kuch sandesh suna swami ka he vishal aakash
ud chal pranesvar ke pas
deh ka pinjra chhod ke chal man
pranesvar ke pas ud chal pranesvar ke pas
deh ka pinjra chhod ke chal man
pranesvar ke pas ud chal pranesvar ke pas
Hua Ram Ka Janm
Singer: Asha Bhosle
Music: Avinash Vyas
Tag: Hindi
Video:
hua ram ka janam badhai tribhuvan gata hai
gagan kaliya barsata hai
hua ram ka janam badhai
tribhuvan gata hai gagan kaliya barsata hai

dware gunj rahi shehnayi
ghar aangan me shobha chai
aayi ghadi suhani aayi koi guthta haar haar ki
koi sajata hai gagan kaliya barsata hai
hua ram ka janam badhai
tribhuvan gata hai gagan kaliya barsata hai

maiya jhula rahi hai jhulna
ghar aaye chanda se lalna
phulo se bhi sundar palna
danvir balbir thal bhar tal lutata hai
gagan kaliya barsata hai
hua ram ka janam badhai
tribhuvan gata hai gagan kaliya barsata hai

sakhiya aangan ko kurati
pure ghar me dip jalati
hil mil mangal git gati
hil mil mangal git gati
raghukul me kuldeepak haye man lahrata hai
gagan kaliya barsata hai
hua ram ka janam badhai
tribhuvan gata hai gagan kaliya barsata hai
Maiya Tumhare Bina
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Neelkanth Tiwari
Tag: Hindi
Video:
maiya tumhare bina maiya tumhare bina
maiya tumhare bina pran dukhiyare
bichhd gaye aankho se aankho ke tare
maiya tumhare bina maiya tumhare bina

tune dudh pilakar pala teri god me phule
teri mamta ke aanchal me kaliyo se hum jhule
chhoti si kaya me pran hai tumhare
maiya tumhare bina pran dukhiyare
maiya tumhare bina maiya tumhare bina
maiya tumhare bina pran dukhiyare
bichhd gaye aankho se aankho ke tare
maiya tumhare bina

dur base hai ji ke tukde haye bikhre maiya
bin bachhve ke tadap rahi hai ye dukhyari gaiya
jalte hai aanchal me aaj angare
bichhd gaye aankho se aankho ke tare
maiya tumhare bina

koi na jane komal aahe ambar se takrati hai
rajmahalo ki diware bhi fijali fijali jati hai
aao maiya aao maiya
aao maiya rom rom tumko pukare
maiya tumhare bina pran dukhiyare
maiya tumhare bina
maiya tumhare bina pran dukhiyare
bichhd gaye aankho se aankho ke tare
maiya tumhare bina maiya tumhare bina
Mohe Bairan Nindhiya
Singer: Geeta Dutt
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Devendra Mohan
Tag: Hindi
Video:
mohe bairan nindiya lagi re sajan kis aur gaye
mohe bairan nindiya lagi re sajan kis aur gaye

dube hue chand se puchhu puchhu tute taro se
dube hue chand se puchhu puchhu tute taro se
phele hue gagan se puchhu apni aah se pukaru use
meri ankhiya bhar bhar aayi
kaha chit chor gaye sajan kis aur gaye
mohe bairan nindiya lagi re sajan kis aur gaye

lata ped ke gale mili hai lata ped ke gale mili hai
koyal se koyaliya koyal se koyaliya
naye pritam bin ut it bhatku
man mera banwariya mere prit git ki chhand
sajan kyu tod gaye sajan kis aur gaye
mohe bairan nindiya lagi re sajan kis aur gaye
O Kaal Teri Jholi Mein
Singer: Mohammad Rafi
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Mukhram Sharma
Tag: Hindi
Video:
o kaal
o kaal
o kaal teri jholi me kya kya bhare
o kaal teri jholi me kya kya bhare
hasti hui khushiya bhare rote hue aansu bhare
o kaal teri jholi me kya kya bhare

jin pe chhaya thi sukho ki
aaj dukh hain chha rahe
hey mukutdhari, bhikhari aaj banke ja rahe
praat ko jo chadhta suraj sanjh ko wo hi gire
o kaal teri jholi me kya kya bhare

god me belo ki jhule
jhulke jo muskuraye
chhin kar wo phul tune
dur kitni ja giraye
o kaal tu balwan hain
koi kare bhi kya kare
o kaal teri jholi me kya kya bhare

mahlo ke jo rahne wale
khojne saya chale
tan hain nanga pair nange
lab jale bhutal jale
o kaal teri chaal me
koi jiye koi bhare
o kaal teri jholi me kya kya bhare
o kaal teri jholi me kya kya bhare
o kaal teri jholi me kya kya bhare
Meri Duniya Badal Gayi
Singer: Asha Bhosle
Music: Avinash Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Mahasati-Savitri/Meri-Duniya-Badal-Gai-Aaj-Re/Jw46dS5TeFs
Video:
mehlo ki kothri saja ke putli me palang bichau
fir palko ka dalke parda apne piya ko rijhau
meri dunia badal gayi aaj re ho meri dunia
ho meri dunia badal gayi aaj re aaj re aaj re
maine pehna hai ho maine pehna hai
phulo ka taj re ho meri dunia badal gayi aaj re

ang ang mera karta hai nartan
rom rom mera karta hai kirtan
ang ang mera karta hai nartan
rom rom mera karta hai kirtan
mera to sapna sach ho gaya re
jiwan me mere hua pariwartan mere hari ne
ho mere hari ne rakhi meri laaj re laaj re laaj re
maine pehna hai ho maine pehna hai phulo ka taaj re
ho meri dunia badal gayi aaj re

nach ari ho piya ki pujarin ghadi hai ye raswanti
kabhi kabhi to baat baat me baat yaha hai banti
mere antar man me hai damki mere piya ki jyoti
maine paya hai ho maine paya hai
tirbhuwan ka raaj re raaj re raaj re
maine pehna hai ho maine pehna hai phulo ka taaj re
meri dunia ho meri dunia badal gayi aaj re aaj re aaj re
maine pehna hai ho maine pehna hai phulo ka taaj re
Hansa Rana Na Jao
Singer: Asha Bhosle
Music: Avinash Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Mahasati-Savitri/Hansa-Rana-Na-Jao-Chhor-Ke/BTscUBB-cEQ
Video:
hansa rana na jao na jao chhod ke akeli
mujhko na jao chhod ke akeli hansa rana
jagat ki aankho me na banao mujhko piya paheli
na jao na jao chhod ke akeli hansa rana

mat jao he pritam mere pinjra suna karke
pinjra suna karke parwat jaisa bojha mere
jiwan upar dhar ke jiwan upar dhar ke
mai to tumhare sang me saajna
mai to tumhare sang me saajna do din bhi na kheli
na jao na jao chhod ke akeli hansa rana

lambe safar par jana hai to mujhe bhi sang le jaao
mujhe bhi sang le jao piya na chhodo bich bhawar me
mujhe bhi paar lagao mujhe bhi paar lagao
na jao na jao chhod ke akeli hansa rana
na jao na jao chhod ke akeli mujhko
na jao na jao chhod ke akelihansa rana
Ek Ganga Kahi Se
Music: Avinash Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Mahasati-Savitri/Ek-Ganga-Kahin-Se-Aai/Q0U4QSBYGnQ
Video:
ek ganga kahi se aayi ek jamuna kahi se aayi
jagat ke path pe chalte chalte sangam ban gayi
ek preet ke punit paryag me aake
tirth anupam ban gayi ek ganga kahi se aayi
ek jamuna kahi se aayi jagat ke path pe
chalte chalte sangam ban gayi

aarya desh ki ek beti ne apne dharam ko nibhaya
aarya desh ki ek beti ne apne dharam ko nibhaya
ek janam me koti janam ka punay sati ne kamaya
sankat jo pade sabhi haske sahe
kabhi kisi ko wachan kadwe na kahe
jab do aankho me aamawas thi
ek dulhan poonam ban gayi ek ganga kahi se aayi
ek jamuna kahi se aayi jagat ke path pe
chalte chalte sangam ban gayi

sati ko kuch na pata tha ke usne kya khoya kya paya
sati ko kuch na pata tha ke usne kya khoya kya paya
anjane hi ganga ka man sagar par lalchaya
jab bhagya ne ek palta khaya or tyag ka jab awsar aaya
ek rajmahal ki chanchalta pal bhar me sanyam ban gayi
ek ganga kahi se aayi ek jamuna kahi se aayi
jagat ke path pe chalte chalte sangam ban gayi
sangam ban gayi sangam ban gayi sangam ban gayi
Chupke Chupke Chupchup
Music: Avinash Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Mahasati-Savitri/Chupke-Chupke-Chupchap/Ej4mZTZ4RVc
Video:
chupke chupke chupke chupke
chup chap chup chap char aankho me
achanak batchit ho gayi
kuch tum badhe kuch hum badhe
kuch tum badhe kuch hum badhe
dono me preet ho gayi
chupke chupke chupke chupke

aaj to hum dharti ki dhup se
aaj to hum dharti ki dhup se
pyar ki chaw me aaye
prem ki payal pehen paw me
prem ki payal pehen paw me piya ke gaw me aaye
ek mahal ki sundar maina
ek mahal ki sundar maina
dekho jungle ka geet ho gayi
kuch tum badhe kuch hum badhe
kuch tum badhe kuch hum badhe
dono me preet ho gayi
chupke chupke chupke chupke

kitna hai madhur ye milan ek sath bandhe do man
kitna hai madhur ye milan ek sath bandhe do man
kehne ko to alag alag hum par dono ki ek dhadkan
kehne ko to alag alag hum par dono ki ek dhadkan
ek choti si pehchan ek choti si pehchan
jindagi bhar ki jeet ho gayi
kuch tum badhe kuch hum badhe
kuch tum badhe kuch hum badhe dono me preet ho gayi
chupke chupke chupke chupke
chupke chupke chupke chupke
chupke chupke chupke chupke
chupke chupke chupke chupke
Mera Kar Do Re Amar
Music: Avinash Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Mahasati-Savitri/Mera-Kar-Do-Amar-Suhaag/PhAacBx9AEQ
Video:
mera kar do re amar suhag war do wat raja
mera kar do re amar suhag war do wat raja
he meri chudiya amar karo bindiya amar karo
chudiya amar karo bindiya amar karo
bhaag me lage na aag war do wat raja
war do wat raja ho mera kar do amar suhag
war do wat raja

mujhpe rakhiyo mamta maya aayi sharan tumhari
aayi sharan tumhari ek suhagan pal pal chin chin
rahe piya ki pyari rahe piya ki pyari
mere vrat ko safal karo path ujjwal karo
vrat ko safal karo path ujjwal karo
sewa me lage na daag war do wat raja
war do wat raja ho mera kar do re amar suhag
war do wat raja

dhan vaibhaw ko dhul samjh ke mai pritam ghar aayi
mai pritam ghar aayi raaj paath ke thath ko chhod ke
pati bhakti apnai pati bhakti apnai
he meri pat ko rakhna sat ko rakhna
pat ko rakhna sat ko rakhna badhta rahe anurag
war do wat raja war do wat raja
mera kar do re amar suhag war do wat raja

ye kusum lo lo ye kumkum shubh din hai bhakti ka
shubh din hai bhakti ka mere pati ki raksha kario
ye hai wachan ek sati ka ye hai wachan ek sati ka
he kuch aisa karo mere purwa janam ke
aisa karo mere purwa janam ke
sab punya jaye jag war do wat raja war do wat raja
ho mera kar do re amar suhag war do wat raja

mera kar do re amar suhag war do wat raja
mera kar do re amar suhag war do wat raja
meri chudiya amar karo bindiya amar karo
chudiya amar karo bindiya amar karo
bhag me lage na aag war do wat raja
mera kar do re amar suhag war do wat raja
mera kar do re amar suhag war do wat raja
mera kar do re amar suhag war do wat raja

Hariye Na Himmat
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Ramesh Gupta
Tag: Hindi
Video:
ram nam ki loot hai loot sake to lut
ae ant samay pachtayega jab pran jayenge chut re

hariye na himmat bisariye na ram
bisariye na ram kabhi har kabhi jeet
ye hai jivan sangram ye hai jivan sangram

hariye na himmat bisariye na ram
bisariye na ram kabhi haar kabhi jeet
ye hai jivan sangram ye hai jivan sangram
hariye na himmat bisariye na ram
bisariye na ram kabhi haar kabhi jeet
ye hai jivan sangram ye hai jivan sangram

jako rakhe saiya maar sake na koi
baal na baka kar sake jo jag bairi hoye
ram bhajo ram bhajo ram bhajo ram
lage koi na daam lage koi na daam
ram bhajo ram bhajo ram bhajo ram
lage koi na daam lage koi na daam
hariye na himmat bisariye na ram
bisariye na ram kabhi har kabhi jeet
ye hai jivan sangram ye hai jivan sangram

hariye na himmat bisariye na ram
bisariye na ram kabhi haar kabhi jeet
ye hai jivan sangram ye hai jivan sangram
ram bhajo ram bhajo ram bhajo ram bhajo
ram bhajo ram bhajo ram bhajo ram bhajo
ram bhajo ram bhajo ram bhajo ram bhajo
ram bhajo ram bhajo
Kaahe Ko Bisara
Singer: Talat Mahmood
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Ramesh Gupta
Tag: Hindi
Video:
kahe ko bisara sat nam
o baba tune kahe ko bisara hari nam
o baba tune kahe ko bisara hari nam
kahe ko bisara sat nam
o baba tune kahe ko bisara hari nam

jhuth na chodi tune
pap na choda tune pap na choda
daya dharam se kyu mukh moda
tan bhi vyakul man bhi vyakul vyakul tan
o baba tune kahe ko bisara hari nam
kahe ko bisara sat nam
o baba tune kahe ko bisara hari nam

jhutha rishta jhutha nata
kahe birkha janam gawata
maya jal ko tod ke pagle chakar shabd pahchan
o baba tune kahe ko bisara hari nam
kahe ko bisara sat nam
o baba tune kahe ko bisara hari nam

nam rahega teri deh jalegi
satya ki kunji tere sath chalegi
parbhu ke bhajan bina aakhir tere
parbhu ke bhajan bina aakhir tere
koi na aaye kam
o baba tune kahe ko bisara hari nam
Gunn Gunn Gunjan
Singer: Geeta Dutt
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Ramesh Shastri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Har-Har-Mahadev/Gun-Gun-Gunja
gun gungun gun gungun gunjan karta bhawra
gun gungun gun gungun gunjan karta bhawra
tum kaun sandesha laye
prem mantar chupke se kah do
jo pritam kahlaye
tum kaun sandesha laye

in naino me chain nahi hai
sabke dil koi bain nahi hai
har unhi ke liye
rank ne phulan gher bichaye
tum kaun sandesha laye
gun gungun gun gungun gunjan karta bhawra
tum kaun sandesha laye

mera man dole re dole
wo kya bole re bole
mai unke man bhai hu
mai unke man bhai hu
kya yahi geet tu gaye
tum kaun sandesha laye
gun gungun gun gungun gunjan karta bhawra
tum kaun sandesha laye
Utha Palken Mile Nazaare
Singer: Krishna Kalle
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Anjaan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Badmash/Utha-Palken-Mila-Nazr
utha palke mila najre, ye paimane chhalkne hain
utha palke mila najre, ye paimane chhalkne hain
bahakta hain agar ye dil
bura kya hain bahkne de
utha palke mila najre

idhar to dekh kaisi pyas machli hain nigaho me
idhar to dekh kaisi pyas machli hain nigaho me
dhadkate dil ko lele shokh, baho ki panaho me
mohabbat ki nayi khushbu se
ye saanse mahkne de
utha palke mila najre

ye mana sagar aur meena ka
dilkash daur hota hai
ye mana sagar aur meena ka
dilkash daur hota hai
magar aankho se peene ka
maja kuchh aur hota hain
hasi palko ke saye me naye sagar khanakne de
utha palke mila najre, ye paimane chhalkne hain
bahakta hain agar ye dil
bura kya hain bahkne de
utha palke mila najre
Salaam Lo Na Lo-2
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Anjaan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Badmash/Salam-La-Na-Lo-Pt.-2/
ye raaz husn ka parde me abhi rahne do
ye raaz husn ka parde me abhi rahne do
najar najar se dil ko dil ki baat kahne do
sambhalo khud ko bekhudi na had se badh jaye
na dil ko shauk-e-tamanna ke ro me bahne do
ye pyar kya hai janeman
ye mohabbat kya hai
kisi ke pyar me lut jane ki aadat kya hai
kisi ke husn ko tumne jo khuda maan liya
to pahle ye to jaan lo ke ibadat kya hai
gulam husn khud bane kuch aisa kaam karo
gulam husn khud bane kuch aisa kaam karo
kiya hai ishq to, na ishq ko badnam karo
kiya hai ishq to
kiya hai ishq to, na ishq ko badnam karo
salam lo na lo, gulam main tumhara hu
salam lo na lo

dikha ke jalwe husn dil ko bekarar kare
dikha ke jalwe husn dil ko bekarar kare
sikhaye humko pyar karna humse pyar kare
hansi hansi me koi hosh uda de aise
to koi kaise bhala khud pe akhtiyar kare
kahin bhi chain nahi, ab kahin karar nahi
begair tere ye bahar khushgwar nahi
meri bahar, mera pyar sabhi kuch tu hai
tere siwa mujhe kisi ka intzar nahi
bhatak raha jo gardisho me wo sitara hu
bhatak raha jo gardisho me wo sitara hu
tumhare husn tumhari ada ka mara hu
salam lo na lo, gulam main tumhara hu
salam lo na lo, gulam main tumhara hu
salam lo na lo, gulam main tumhara hu
Salaam Lo Na Lo-1
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Anjaan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Badmash/Salam-Lo-Na-Lo-Pt.-1/
aa aa aa
tumhi base ho har ek dil ki, har ek dhadkan me
na puchho mujhse kya hain, aarju mere dil me
qubul kar lo aaj, iltja mere dil ki
badi ummid liye aaya hun, is mehfil me

salam lo na lo, gulam main tumhara hu
salam lo na lo, gulam main tumhara hu
tumhare husn tumhari, ada ka mara hu
tumhare husn tumhari, ada ka mara hu
salam lo
ha salam lo na lo, gulam main tumhara hu
salam lo na lo

gulam banke husn ko na yu salam karo
gulam banke husn ko na yu slam karo
kiya hain ishq to na, ishq ko badnam karo
kiya hain ishq to na
ho kiya hain ishq to na, ishq ko badnam karo
salam lo na lo, gulam main tumhara hu
salam lo na lo

ye sach hain dil hain, hamara tumhara diwana
tumhe to hamne apani, jaan se badhkar jana
yakeen aaye tumhe ya na aaye lekeen
hamare dil ne to tumhi ko hain khuda mana
ha ha ha ha
kisi se haar na mani, main dil se haara hu
kisi se haar na mani, main dil se haara hu
tumhare husn tumhari, ada ka mara hu
salam lo
ha salam lo na lo, gulam main tumhara hu
salam lo na lo
Dekha Tujhe Palat Ke
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Anjaan
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Badmash/Dekha-Tujhe-Palat-Ke/
he palat
hoy hoy hoy hoy
dekha tujhe palat ke, ghunghat jo yu ulat ke
dekha tujhe palat ke, ghunghat jo yu ulat ke
saari bahar jaise, mujhme aa gayi simat ke
kyu dekha yu palat ke, ghughat ko yu ulat ke
kyu dekha yu palat ke, ghughat ko yu ulat ke
dil par mere lage hain, jaise bijliyo ke jhatke
kyu dekha yu palat ek

tujhko aise dekhna gunah ho gaya
tujhko aise dekhna gunah ho gaya
aankh kya mili, ye dil tabaah ho gaya
dil tabah ho gaya
koi kali jo chatke, kanta sa dil me jhatke
koi kali jo chakte, kanta sa dil me jhatke
chhede hawa nigodi aanchal se yu lipat ke
kyu dekha yu palat ke, ghughat ko yu ulat ke
kyu dekha yu palat ke, ghughat ko yu ulat ke
dil par mere lage hain, jaise bijliyo ke jhatke
kyu dekha yu palat ek
aa aa la la l la
ho ho la la l la

tere jaise husn, koi aur hain kahaa
tere jaise husn, koi aur hain kahaa
main to kya fida hain sari wadiya
fida hain saari wadiya
badal ude jo lat ke, kaise ye dil na bhatke
badal ude jo lat ke, kaise ye dil na bhatke
suraj hain teri laalima, saare jaha se hat ke
dekha tujhe palat ke, ghunghat jo yu ulat ke
dekha tujhe palat ke, ghunghat jo yu ulat ke
saari bahar jaise, mujhme aa gayi simat ke
kyu dekha yu palat ke, ghughat ko yu ulat ke
kyu dekha yu palat ke, ghughat ko yu ulat ke
dil par mere lage hain, jaise bijliyo ke jhatke
dekha tujhe palat ke, ho kyu dekha yu palat ek
dekha tujhe palat ke, hay kyu dekha yu palat ek
dekha tujhe palat ke
zindagi hasin hai
Singer: Asha Bhosle
Music: Avinash Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Adhikar/Hasin-Hai-Yeh-Zindagi
zindagi hasin hai ye zindagi hasin hai
zindagi se pyar kar mai hu teri zindagi
mujhpe etabar kar, mujhpe etabar kar
zindagi hasin hai ye zindagi hasin hai
zindagi se pyar kar mai hu teri zindagi
mujhpe etabar kar mujhpe etabar kar

kitni hansi hai dekh le ujde chaman ki
ye kali kitni hansi hai dekh le ujde chaman ki ye kali
mere chaman me aa ghuli tere chaman ki
ye kalichahti hu mai ise tu bhi isko pyar kar
mujhpe etabar kar, mujhpe etabar kar
zindagi hasin hai ye zindagi hasin hai
zindagi se pyar kar mai hu teri zindagi
mujhpe etabar kar mujhpe etabar kar

tu to mere sajan ki ek chhoti si tasvir hai tu
aankho ki roshani tu meri takdir hai
prit meri bar bar kahti hai pukar kar
mujhpe etabar kar, mujhpe etabar kar
zindagi hasin hai ye zindagi hasin hai
zindagi se pyar kar mai hu teri zindagi
mujhpe etabar kar mujhpe etabar kar

maine tumhare pyar ko aaj aajma liya
hanste ek raz ko sine me chhupa liya
tum na gale laga sake maine gale laga
liya tum na gale laga sake maine gale laga liya
meri jit ho gayi aaj tujhse har kar
mujhpe etabar kar, mujhpe etabar kar
zindagi hasin hai ye zindagi hasin hai
zindagi se pyar kar mai hu teri zindagi
mujhpe etabar kar, mujhpe etabar kar
zindagi hasin hai ye zindagi hasin hai